Durga Matha Stuti

Durga Matha Stuti

By singing Durga matha stuti, it is believed that Goddess Durga matha is pleased in the most convincing way. Durga Stuti relieves human beings from all their worries and blesses them with prosperity and happiness.

Shri Durga Matha Stuti:

Miti Ka Tan Huaa Pavitra, Ganga Ke Asnan Se
Ant Karan Ho Jaye Pavitra, Jagadambe Ke Dhyan Se

Sarve Mangal Mangalye, Shive Sarvarth Sadhike
Sharanye Trambake Gauri, Narayani Namo Stute.

Shakti Shakti Do Mujhe, Karoon Tumhara Dhyan,
Path Nirvignya Ho Tera, Mera Ho Kalyan.

Hridya Sinhasan Par Aa, Betho Meri Maa,
Suno Vinay Mam Din Ki, Jag Janani Vardan.

Sundar Deepak Ghee Bhara, Karoon Aaj Tayaar,
Gyan Ujala Maa Karo, Metto Moh Andhkaar.

Chandra Surya Ki Roshni, Chamke Chaman Akhand,
Sab Mein Vyapak Tej Hai, Jwala Ka Prachand.

Jwala Jag Janani Meri, Raksha Karo Humesh,
Dur Karo Maa Ambike, Mere Sabhi Kalesh.

Shradha Aur Vishwas Se, Teri Jyot Jalaoon,
Tera Hi Hai Aashra, Tere Hi Gun Gaoon.

Teri Adhabhut Gaat Ko, Padhoon Mein Nischay Dhar,
Sakshat Darshan Karoon, Tere Jagat Aadhar.

Man Chanchal Se Baat Ke, Samay Jo Aogun Hoye,
Dati Apni Daya Se, Dhyan Na Dena Koye.

Main Anjan Malin Man, Na Jano Koi Rit,
At Pat Vani Ko Hi Maa, Samjho Meri Prit.

Chaman Ke Aogun Bahot Hai, Karna Nahi Dhyan,
Sinhvahini Maa Ambike, Karo Mera Kalyan.

Dhanya Dhanya Maa Ambike, Shakti Shiva Vishal,
Angh Angh Mein Rum Rahi, Dati Din Dayal